Welcome

Welcome to the World of Fresh Sms. Here you can find any type of Text

Thursday 24 November 2011

Moharram sms

Muharram sms


Khoon Se Charagh-e-deen jalaya Hussain ne
Rasm-e-Wafa ko khoob nibhaya Hussain ne
Khud ko to ek boond bhi Pani na mil sake....
Karb-O-Bala Ko khoon pilaya Hussain ne
Aesi Namaz kaon parhega Jahan men?
Sajda kiya to Sar Na uthaya Hussain ne....!
Sab kuch Khuda ki raah men Qurban kar diya..
Asghar sa phool bhi na bachaya Hussain ne.....
.

Hassan ko Badshah khas o Aam kehte hain.
Ali ka Naaib o Qaim Muqaam kehte hain.
Daleel aik hi kafi hai unki Azmat may.
unhe Hussain bhi apna Imam kehte hain.


Shah ast Hussain Badshah ast Hussain 
Deen ast Hussain Deen Panah ast Hussain
Sir Dad k na daad Dast Dar Dast e yazeed
HaQQa k Binaye La Ilah ast Hussain


Aye Jhoot Ke Fatwoon Ki Dukan Kholne Wale.
Farman-e-Payumber Ko Na Is Tarah Bhula De.
Hum Gham-e-Shabbir Se Ruk Jain Gay Aye Dost.
Shabbir-o-Shareeyat Main Zara Farq Bata De.



  NIJAT ki jab appeal karna...

  HUSSAIN * apna wakeel karna...

  Agar Sar kay badle * HUSSAIN * milay..

  To ZINDAGI na taveel karna..


Abhi Insan tu Paida Ho lenay do 
Har Qaum Pukaray gi   k hmaray hain Hussain




Aey Karbala k qasr ki mai'maar as'salam

Aey jur'aton ki aahani deewar as'salam

Ghurbat may Shahzadi-e Mukhtar as'salam

Aey ghaaza-e-rukh-e-Shah-e-abraar as'salam

Jo rang charh chuka tha utarnay nahi diya.

Tu nay kisi Shaheed ko mernay nahi diya.




ALI se bughz b aur SHOQ-E-JAnnAT bhi?

IBADATON ka b koi asool hota hai....

Tu ALI ki jaye WILADAT se inkar to kar...

Dekhoon tera HAJ kaisay QABOOL hota hai..





Yun Hi Nahi Jahan Main.
Charcha HUSSAIN Ka.

Kuch Dekh K Hua Tha.
Zamana HUSSAIN Ka.

Sar De k Do Jahan Ki.
Hukumat Khareed Li.

Mehanga Para yazeed Ko.
Sauda HUSSAIN Ka.



Mera
HUSSAIN
Bagh-e-Nabowat ka Phool hy.

Haider ki is me Jan hy Khoon-e-Batool hy.

Ktni Azeem Zaat hy Mola Hussain ki,
Jis k lie Rasool k Sajdon me Tool hy.

Dunya me aur kon hy Shabir k bghair,
Aisa Swar jis ki Swari Rasool hy.

Guzra jahan jahan se Nwasa Rasool ka..
Ab tak wahan Khuda k Kram ka Nazool hy..

Jis k lya yazid ne itnay sitam kiye.....
Wo Takht to HUSSAIN k Qadmon ki Dhool hy...

Be Ijazat Jin k Ghar main Jatay nahi Jibrael
Qadar walay jantay Hain Qadro Shan e Ahle Bait




Wo jis ne apny Na Na ka wada wafa kar dia.
.
Ghar ka ghar supard-e-KHUDA kar dia.

Nosh kar lia jis ne shahadat ka jaam.

Us "Hussain Ibne-Ali" par lakhon salam.



Har ibadaat hay meri yad e ali k saye me
kat rahi hy zindahi aulaad e ali k saye me
Moot khud mamoor hy meri hifazaat k liye
har ghari rehta hun main nad e ali k saye me



Firown Ko Sedha Kabi Chalte Nahi Daikha

Girtay Huay Daikha Hay Sambhalty Nahi Daikha

ASGHAR Ki Tarah Maqsad e Islam Ki Khatir

Itna Kisi Bachay Ko Machalte Nahi Daikha.



Abhi tou zulm ka qissa tamaam hona hay.
Hussainiat ko abhi gaam gaam hona hay.
Jo ho raha hay sitam uski shaam hona hay.
Karo na fikr Zahoor-e-Imam hona hay




Ali(a.s) ke dar pe jo aata hay wo jaata nahain khali.
Ke is dar se hi hoti hay sab hi ki door bad hali.
Ali (a.s) pyar kitna hay meray Allah ko dekho.
Ali (a.s) ke dushmano ko dekh ke dozakh bana dali.



Musalman ghor kar!

1.Saal ka akhiri mahena bhe qurbani pehla bhe qurbani...

2.wo bhe 10 ko ye bhe 10 ko.

3.Unpe bhe DUROD inpe bhe DUROD

4.wo bhe NABI KA LAL ye bhe NABI KA LAaL.
.
5.unke yad bhe MANATEY hain inke yad bhe MANATEY hain.

6.Wo ZABHE azem ye SHAHEED-e-azem.

7.Unke yad SUNNAT inpe RONA SUNNAT.

8.unho nay KHAWAB nibhaya inho na WADA-E-TIFLI nibhaya.

9.Wo SABAR ke ibteda ye SABAR ke inteha.

10.Wo KABA k bnanay walay Ye KABA ko bchanay walay.



Hasan(AS) hai naam Konain ka Dulara hai
Khudaee aik taraf yeh khuda ka pyara hai
Ali(AS) ka noor-e-nazar Syeda(SA) ka lakht-e-jigar
Nabi(SAWW) ki aankhon ka pehla haseen tara hai



Gulzar e shujat ki dil awaiz kali hy..
jano dil e hyder hy wali ibne wali hy.
Shabbir muhammad hyn agar waqt k apney..
Abbas e jari apney zamaney ka Ali hy..



Zarurat Thi Talwaar Ki Na Aur Kisi Hathiyar Ki.

Sirf Ek Dua Thi Karbala Main Alamdaar Ki.
Fakat Mil Jaye Ijazat Aqa Hussain Sai.
To Yaad DilaDunga Jung Haider-e-Karrar Ki.  RAi shakeel

http://awaisiafoundation.weebly.com/

No comments:

Post a Comment