Welcome

Welcome to the World of Fresh Sms. Here you can find any type of Text

Thursday, 17 November 2011

Allama Iqbal Poetry

علامہ اقبال رح ایک عظیم مرد قلندر 


علامہ محمّد اقبال




Dr Allama Mohammad Iqbal :

Jin Kay Aaangan Main Ameeri Ka Shajar Lagta Hai..! 


Un Ka Har Aib Zamanay Ko Hunar Lagta Hai..!


Dr Allama Muhammad Iqbal
Jin k Aaangan Main Ameeri Ka Shajar Lagta Hai
Un Ka har Aib zamany ki hunar lagta hai





Main sar jhuka k kah donga ,apny rab k saamnay iqbal,

K hazaron ghunah ho gay teri rehmat k naaz pay


Sitaron se age Jahan aur bhi Hain






Sitaron se age jahan aur bhi hain
Abhi ishq k imtihan aur bhi hain
Tabhi zindagi se nahin ye fazayen
Yahan saikaron karawan aur bhi hain

Kanat na kar alam-e-rang-o-bu par
Chaman aur bhi, ashiyan aur bhi hain

Agar kho gaya ek nasheman to kya gam
maqamat-e-ah-o-fugan aur bhi hain

Tu shahin hai parwaz hai kam tera
Tere samne asman aur bhi hain

Isi roz-o-shab mein ulajh kar na rah ja
K tere zamin-o-makan aur bhi hain

Gae din k tanha tha main anjuman mein
Yahan ab mere razadan aur bhi hain








Iqbal Terey Dais Ka Kia Haal Sunaon

Iqbal Terey Dais Ka Kia Haal Sunaon
Bebaki-O-Haq Goi Se Ghabrata Hai Momin,

Makkari-O-Farebi Pe Itrata Hai Momin,
Jis Rizq Se Parwaz Mein Kotahi Ka Darr Ho,

Wo Rizq Ab Barray Shoq Se Khata Hai Momin,
Kirdar Ka, Guftar Ka, Aamaal Ka Momin,

Qail Nahi Aisay Kisi Janjal Ka Momin,
Sarhad Ka Momin Hai Tou Koi Punjab Ka Momin,

Dhonde Se Bhi Milta Nahi, Quran Ka Momin,
Iqbal Terey Dais Ka Kia Haal Sunaon!




Utho meri dunya k garibon ko jaga do

Utho meri dunya k garibon ko jaga do
Khak-e-umra k dar-o-diwar hila do

Garmao gulamon ka lahu soz-e-yaqin se
kunjishk-e-phiromaya ko shahin se lara do

sultani-e-jamahur ka ata hai zamana
jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aye mita do

jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi
us khet k har khosha-e-gandum ko jala do

kyon khaliq-o-makhluq mein hayal rahen parde
piran-e-kalisa ko kalisa se hata do

main nakhush-o-bezar hun marmar k silon se
mere liye mitti ka haram aur bana do

tahazib-e-nawin kargah-e-shishagaran hai
adab-e-junun shayr-e-mashriq ko sikha do


Ajab waiz ki din-dari hai ya Rab

Ajab waiz ki din-dari hai ya rab

Adawat hai ise sare jahan se



Koi ab tak na ye samjha k insan

Kahan jata hai ata hai kahan se



Wahin se rat ko zulmat mili hai

Chamak taron ne pai hai jahan se



Ham apni dard-mandi ka fasana

Suna karte hain apne razdan se



Bari barik hain waiz ki chalen

Laraz jata hai awaz-e-azan se




Majnoon nay sheher chora, tu Sehraa bhi chor day

Majnoon nay sheher chora, tu Sehraa bhi chor day
Nizaray ki hawiis ho tu Laila bhi chor day 

Wa'az! kamal-e-tarq se milti hai yaan muraad
Duniya jo chor dii hai to uqbaa bhi chor day


Taqleed ki rawish se tu behtar hai Khud-Kushi 
Rasta bhi dhoond, Hiz'r ka soda bhi chor day 


Mannand-e-Khama Teri zuban per hai harf-e-gair 
Begana Shay pe Nazish-e-Bejaa bhi chor day 


Lutaf-e-Qalaam kya je naa ho dil mein DARD-e-ISHQ 
Bismil nahe hai tu to Tarapna bhi chor day 


Shabnam ki tarah pholoon pe ro, aur chaman se Chal 
Iss Baagh mein Qyaam ka soda bhi chor day 


Acha hai dil kay pass rahay pasbanay Aqal 
Lakin kabhi kabhi issay tanha bhi chor day 


Hai Ashiquee mein rasam alag sab se bethna
Buut-Khana bhi, Haram bhi, Kaleesa bhi chor day



Nahin minnat-kash-e-taab-e-shaniidan daastaan Meri

Nahin minnat-kash-e-taab-e-shaniidan daastaan meri
Khaamoshii guftagu hai, bezubaanii hai zabaan meri


Ye dastuur-e-zabaan-bandii hai kaisii terii mahafil mein
Yahaan to baat karne ko tarastii hai zabaan merii


Uthaaye kuch varaq laalaa ne kuch nargis ne kuchh gul ne
Chaman mein har taraf bikharii huyii hai daastaan merii


Uraa lii qumariyon ne tootiyon ne andaliibon ne
Chaman vaalon ne mil kar looT lii tarz-e-fugaan meri


Tapak ai shama aansuu ban ke parvaane kii aankhon se
Saraapaa dard hoon hasrat bharii hai daastaan merii


Ilaahii phir mazaa kyaa hai yahaan duniyaa mein rahne kaa, 
hayaat-e-jaavidaan merii na marg-e-naagahaan merii...........





Ki Muhammad Se Wafa Tu ne tu hum tere Hain 
Yeh Jahan Cheez Hai Kia Loh o Qalam Tere Hain


Nahin Hia Na Umee Iqbal Apni Kashte Veeran Se 
Zara Num Ho Tu Yeh Matti Bari Zer Khaiz Hai Saqi



Halat K Qadmon Main Qalander Nahin Girta 
Totay bhi tara Tu zameen Pr Nahin Girta 
Girtay Hain Barey Shoq Se Samander Main Darya 
Lekin Kisi Darya main Koi Samander Nahi Gerta 



Mere dil,jigar,kidney,liver ho tum,
Waqt bewaqt aaye wo fever ho tum,
Doob kar jisme mar jayen wo river ho tum,
Mere jeevan main ab tu forever ho tum.

Aye Khuda Mujh ko Muhabbat de Ibadat Iwaz
Main tu teri Kisi Jannat ka Khareedar Nahi.


3 comments: